Wednesday, July 23, 2008

No Time


I got the below poem as a forward mail. I am just sharing it here. I dont have any clue about the author.

" WAQT NAHI "

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.

Din Raat Saudi Duniya Mein,Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.

Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi.

Gairon Ki Kya Baat Karen,Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,Par Sone Ka Waqt Nahi.

Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.

Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,Iss Zindagi Ka Kya Hoga,Ki Har Pal Marne Walon Ko,Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......

No comments:

Incredible India

DAFFY DEFINITIONS:-

WHO IS A POLITICIAN??

One who shakes your hand before elections and your confidence after.